Wednesday, May 19, 2010

"na zindagi mili na maut mili"

Main zindagi bhar sota hi raha,
ab marte marte hai aankh khuli....
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"


Jo jitna mila wo hamesha kam tha
aisa kuch mujhko bhram tha..
Jo mil na saka wahi sab kuch laga
peeta gaya par kabhi na pyas bujhi...
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Ma ki mamta ka saar na tha
par mujhe pyar se pyar na tha
Bus moh tha naye khilono ka
jab hosh aaya kahan wo god mili
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Kabhi ungli tham k chalta main bhi
pita ki god main uchalta main bhi
par mujhko bhagna tha jaldi se
chalna seekhate wo usse pehle hi maine udaan bhari
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Khushiyan aati rahi, jati rahi
main chalta raha naye mukam chune ko
ek baar bhi tham kar jashn na manaya...
bus dhoop dikhi na sawan ki ek bhi barsaat dikhi
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Yun bitata kucch pal main bhi unke sath..
isi umeed main intizaar karte rahe har shaam
jis parivar ki khushi k liye sab kuch kiya
na samjha bin mere wo khushiyan beswad rahi
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Bus ek hara rang dikhta raha mujhe
jo anmol tohfe main mila unki pehchaan na ki
wo mehekti hawa mujhe chooti rahi...
mujhe abse pehle ehsas hua hi nahin...
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Inn sanson ka main mol na smajha
socha bahut hain jeene ko
zindagi bhi sath mere bhagti rahi...
ab kaise jee loon jab saans nahin...
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili"

Ab ginta hun wo pal jo main jee leta..
par aalam kuch aisa hai "kash" keh kar tham jata
Jab zindagi thi tab waqt na tha
ab waqt toh hai par zindagi nahin....
Zindagi ki chah main marta raha
"na zindagi mili na maut mili" ............

4 comments:

  1. Chap de ye sab ! :P

    Logo ka bhala ho jayega !

    ReplyDelete
  2. y so serious abt life....no1 gets out alive ne way....

    ReplyDelete
  3. @rishi....help me..:P
    @ankit.....well jus an expression of feelings....wanna tell people hw life moves out of hand so better to njoy each moment

    ReplyDelete
  4. wah wah ........kya lines hai yrr....so nice..

    ReplyDelete